Truth is the basis of all Excellence ...

10 November 2014

Thar Tharata Thar...



Pakistan may taleem aur sehat ky shobon ko hamesha nazar andar kiya gaya hai. Elections se phely her party apny intakhabati maanshor may dono mamalat ko behter karny may kai daway krti hai,magar haqiqat may mulk ky saalana budget aur shobai budget may sehat aur taleem per hamesha he sab se kam raqam rakhi jati hai.Sheyhri ilaqon may to neeji hospitals ki wajah se shayad soorat-e-hal kuch bheter hai laykin agar deyhati ilaqon ki baat ki jaye to wahan halat bhot kharab hain aur agar nazar marwi ky sehri Thar ki janeeb par jaye to yun lagta hai ky jesay ab tak pathron ky zamany may he zindagi basar ki jarhi hai.Seyasi rehnoma Thar ki awam ky votes k zarye aewano may pouchn jatay hain laykin in ki beyhali ky liye awaz buland nhe karty.Hal kuch yun hai ky insaan aur janwar aik he jagah se ganda pani pe rhy hain,her taraf ghorbat hai,khoraq ki shaded qilaat se jism kamzor ho kar tarah tarah ki bimarion ka shikar hai.barson guzar gaye ,mulk may bohut kuch badal gaya laykin Thar ki halat kisi bi dor may na badal saki. Maazi may media is qadar file nhe tha  ky her khabar awam tk pouchnti.magar jon jon electronic media samny aya hai her khabar samny ajati hai. 

Report ky mutabiq ,ab tk 470 afrad jaan se hath dho bethy hain.Report may yeh bi kaha gaya hai ky pechley basar k maal may Thar k liye 5 corer ka budget diya gaya tha laykin is raqam ka dursat istamal nhe kiya gaya.
                      
      Hospital ki halat intahai mayos kun aur  afsos naak hai,in ilaqon may bachy rait per he janam letay hain in ki rakhwali ka koi munaseeb intezam nhe hai.Wahan bimari ki tashkhis ky liye laboratory  mojud nhe hai ,docter agar yeh mahsos karay ky kisi ko kisi bhi kiseem ktest ki khas zarort hai to who kya karay ga ,bunyadi teston k liye koi intezam kiya jaye ,yeh sab kuch bht asan hai basharty ky hakumat apni sayasi zimidari ka ehsas karay. Jo log assembly may bethy hain yeh log awam ky muntakheb shuda numainday hain,yeh in ka awalein farz hai ky qomi aur sobai assemblies may Thar ky maslon ko ujagar karein aur development funds ka muneeb aur imaandari se istamal karein.her taraf corruption hai politics may rishtydarian chal rahi hain ,her saal is ilaqay ka budget ata hai magar Thar k ghareebon tk kuch nhe pouchnta .wazir-e-ala meethi se ho k ajaty hain aur kehty hain ky wahan bhot bara haspatal hai jo k Karachi aur Hyderabad ky civil hospital se ziada acha hai koi inhy yeh kuch nhe batata k meethi se agay meelon per yeh sehra phela hoa hai aur wahan log abad hain.inki sehat ka hal bohot kharab hai.Phely sehat ka shoba MQM k passs tha ab PPP ky pass hai magar dono jamaton ky wozra ne Thar k basiyon ki bunyadi sehat ky liye iqdam nhe uthaya. Khair seyasi baatein aik taraf, is baat se inkar nhe kia ja sakta k barson se sarahey Thar ki halat yehe hai aur dono k dusry sehraon ki bar-ask yahan taraqi aur khushhali k bajaye her taraf bhook, bemarian aur mout ka rask nazar ata hai.






Yeh hukomat ki zimidari hai ky taleem aur sehat sameit her shobay may shifafiyat paida ki jaye aur logon ki counseling ki jaye.Government wahan ki khawateen koi honar sikhaye ,inhy technici lihaz se masbot karay aur is honar k badlay munseeb raqam ada karay. Is tarah hakumat ko in may sehat ky hawalay se awareness beedar karany ki bi ijazat hoge aur who bhi sehat ky baray may sanjidgi se souchy gay kyn k yeh log khud bi apny pyaron ko marta dekh dekh kar takh chuky hain .
Hakumat apni zimidari samjhy ky wahan halat bht khrb hain. Woh log bi jeena chaty hain laykin khana aur pani ki kilaat ne inkii sehat ko kisi qabil nhe chora hai .lihaza agar inki muntakhib karda nomainday inki taleem ,sehat aur ghorbar ky liye kuch nhe karty to logon ko bhi souchna chaye k who inko vote na dein.

1 comment: