KASH HUMARE HUKMARAN...
Ye thay Uruguay k sadar ab hum apne hukmarno ki bat krte hein..
jinhe srf apni jaiben bharne se matlab hota hai, jo aatay to awam k liye hein
or awam se bare bare waday karte hein k wo unki har pareshani dur karen gy
loadsheeding khatam karen ge, dehshatgardi ko khatam kren gy, berozgari dur
karen gy waghera waghera. Lkn jaise he election jeet’tay hein sare waade bhol
jate hein. Jo aaty to awam k liye hein lakin kam sirf apne liye karte hein apna
faida dekhte hein. Jab humare hukmarano ko baher niklna ho to pori security k
sath bullet proof gariyon mai beth k jate hein lakin jab ek aam admi ki bat ate
hai to us ki zindage ki koi ehmiyat nahi hote. Humare mulk mai mehngaye is hadh
tak berh chuke hai k ek gahreeb insan ka daal roti khana bhi mushkil hogaya
hai. Humare hukmaran bare bare gariyon mai bethtay hein, aalishan gharo mai
rehtay hein, lakin ek ghareb aadmi usi makan ya usi jhoopari mai rehta hai jo
us ne tinka tinka joor kr banaya hota hai… or us tootay phootay ghar mai reh
kar souchta hai k us k hukmaran us k liye kuch karen gy, awam k liye kuch karen gy par humare mohtaram sadar, wazir-e-azam ko itne fursat kahan.
Agar humare hukmaran
ghareebo ka souch rahe hote to aj koi ghareb bacha bheek mangnay k bajae,
gariyan saf karnay k bajae school ja raha hota, mehngayi ki wajah se koi khud
ka or apne ghar walo ka katal na kar raha hota, mehngayi , pani, bijli, gas ki
loadsheeding ki wajh se jagah jagah ehtejaj na ho raha hota. Kash hamare
hukmaran bhi apni awam k liye sanjeedgi se sochne lag jaen.
No comments:
Post a Comment