Truth is the basis of all Excellence ...

14 November 2014

 BADALNAY KI  ZARORAT HAME HAI

Hum hamesha ye dekhte or souchte hein k hamare hukmarano ne hamare liye khuch nahi keya. Mehengayi kardi,loadsheeding ho rahi hai, halath kharab hote rehte hein kabhi koi masla to kabhi koi... Lakin kya kabhi hum ne ye socha k hum kitne sahi hein or kitne ghalat??? Hum ne aj tak kitne ache kaam kiye or kitne bure??? Hum ne kabhi khud ki buraiyo ko aj tak nahi gina.



Hum hamesha apna bhala, apna faida chahte hein chahe kisi ka kitna he nuqsaan kyun na ho raha ho.Hum saath bethe shaks ka khayal nahi karte, koi hum se choti se bhi madad mangay to hum mana kar dete hein.Chahe wo koi ajnabi ho,rishtedar ho ya parosi... hum apne ap se barh kar kisi ka nahi sochte. Hum jis k saath bethe ho us se bohat khush ho kar baat kar rahe hote hein lekin peath mortay he hum us shakhs ki buraiye karne lagte hein, Us k bare mai bura bhala bolte hein bhalay khud mai kitne he khamiyan ho lekin bura hum dosro ko he bolte hein. Kisi ghareeb ko dekhte hein to apne apko us se lakh darjay behtar samjhte hein. Kisi ghareb ko khuch bhi dete howe sochte hein k "Us k pas itna sara to saman hai hum kya karen gy de kar, logo ne kitna toh deya hai usay choro". Jab k hame bhi dena chaheye hai kyun k jis ne us ghareb ko diya wo us k aamal mai uski neeki likhi jae gi.. hamare nai... islye hame caheye k hum apne aamal mai bhi neeki likhen. Hum ab apne baro se batameze kartay hein un se unche awaz mai chil'la kar bat kartay hein, bare chotay ka lehaz hamare masharay mai khatam ho chuka hai, Isk ilawa hum kisi ki madad to kartay hein nahi chahe wo ghareb ho ya na ho lekin kisi ka dil bohat asani se dukha dete hein, agr hum kisi ki madad nahi kar sakte to kisi ka dil bhi nahi dukhana caheye.

 

Hamare mulk k halaath sirf hukmarano ne sahe nahi karne hame khud bhi kuch karna pare ga. Hum log ek dosre se larte jhagarte hein ek dosre ko bura kehte hein, kisi ka bura sochte hein or bura kar bhi dete hein. Jis din hum apne mulk k liye or apne logo k liye sochne lag jae ge, ek dosre k sath acha bartaoo karein ge us din hame kisi hukmaran ki zarorat nahi rahe gi... badalnay ki zarurat hame hai.


1 comment: