Truth is the basis of all Excellence ...

15 November 2014

Asataza or tahamul mizaji 

Ek aam admi se le kar ek wakeel, ek doctor, police officer, alim-e-deen or siyasatdaan tak sab he yehe cahtay hein k log in k bare mai ache raayee rakhen, in he ache nazar se dekha jae or un ki baat tawajh or ghoar se suni jae, lakin ek ustaad k liye ye baat bare ehmiyat ki hamil hai k talba us ki baato ko ghoar or dilchaspi se sune.. is liye zarori hai k usatad k andar khush ikhlaki or tahamul mizaji mojood ho kyu k muskurata chehra bemaqsad  dhuwa dar  taqreer  se ziyada asar rakhta hai.

Talba zindage k safar k naye musafir hote hein wo nayi nayi batein sekhtay hein. Aksar talba aese hotay hein jo aam toor par zim’madari ka muzahira nahi kartay. Ustad ko caheye k wo narmi or mohabbat se unhe samjhae. Ustad ko caheye k wo maar peet or tanziyaa guftugu se talba bad’dil ho jate hein. Ustad ki kamiyabi ye nahi k us ne talib-e-ilm ki mamooli ghalti par sakht saza de, kisi ka dimagh durust keya, kisi ko zaleel-o-khuwar keya, kisi ki izzat-e-nafas majrooh ki bal’k ustad ki kamiyabi ye hai k us ne kisi ko sahe rastay par lagaya, kisi ki raah numaii ki, kisi ka nafsiyati masla hal keya.


Kitne he talba aese hein jo asataza k sakht mizaaj, ghusay or mar peet ki wajh se parhai ko hamesha k liye khair bad keh dete hein.  Doran-e-tadrees ye khayal rakha jae k jis insan ko perhaya ja raha hai wo ek zinda haqeeqat hai. Wo jazbat or ehsasat ka hamil hai. Taleemi aadaro mai talba rozana ghaltiyan kartay hein. Is liye ye umer laperwahi, or ghair zimadari ki hote hai. Talba ye ghaltiyan nadani ki wajah se karte hein. Ek achay ustad ko caheye k agr usay kisi talib-e-ilm ki ghalti ka pata chalay to usay sharminda na karay bal’k  munasib tareekay se samjhaye. Talib-e-ilm k kisi aaib, ghalti ya kotahi ko hadaf bana kar usay sharminda karna achay ustad ka sheewa nahi. Is tarah uski izzat-e-nafs majrooh hote hai or wo zid or hat dharmi par utar aata hai. Bohat kam asat’taza aese hote hein jo talba k khayalat or jazbat ki qadar kartay hein  or un ki ghaltiyou or kotahiyou par baray khalus, hikmat se in ki rahnumai kartay hein. Thore se mohtaat or mohabbat ameez ghuftugu se talba ko un ki ghaltiyou ka ehsas dilaya ja sakta hai. Mul’lim ko kabhi bhi tanziyaa or malamat bhari guftugu nahi karne caheye or surat-e-hal ka tahamul mizaji k sath jaiza lena caheye. Agr talba se koi ghalti hojae to usay aleedha bula kar tanhaiye mai samjhana caheye. 




Sakht’ti ka rawaiya aag par petrol dalta hai jab k narmi or mohabbat ka rawiya aag par pani dalnay k mutaradif hai. Maul’lim ko caheye un mai ehsas se zim’madri paida kare or unki qabliyat or salahiyaton ko majroo na kare in ki hosla afzai kare. Lehaza maul’lim ko caheye k wo talba ki ghaltiyou ki taraf unki tawajh bilwasta tor par mabzol karaye. Taake talba behtar tareekay se paish aayen. Asat’taza ko tahamul mizaji se kam lena caheye.





1 comment:

  1. Logon mia bardsht he nhe ...bachon ko mar k pharany se hamesha un pe negative effect hota hai.her bacha aik jesa nhe hota ..humary han bachon ko yeh to btaya jata hai ustad ki izat kro , woh maa baap ki jagah hoty hain...laykin ustad humein apny bachon ki tarah treat nhe krty...laykin humary han teachers ko training nhe di jati...aur humary han jb apny maa baap he itna buri tarah bachon ko marty hain to ap dusry se kya umeed karay gay, bachy gharon se he itny batamiz tayar ho k atay hain k teacher ka hath uth jata hai.

    ReplyDelete