Truth is the basis of all Excellence ...

4 October 2014



Target killing

Target killing ek aesa nam hai jis se hr chota bara aj wakif hai.Target killing k nam se he logo ko khof aane lagta hai.Target killing kab se shuru hui koi nahi janta magar har sal is k boht se masoom log ameer hu ya ghareeb ho sab is k shikar ho chuke hein.. jo mar chukka usko pata nahi k wo mara kyu gaya or jis ne mara wo khud bhe marne ki wajah nahi janta.Ab tak boht se masoom jano ka ziyaa ho chukka lakin natija sifaar hai.


Dehshat gard apni dehshat phelane k liye khuch bhe karne k liye taiyar hote hein kisi bhe tarah logo par apna dabdaba qaim karna cahte hein.Wo namaloom log kahe na kahe qamiyab bhe ho chuke hein ye namloom log kaha se aate hein or kaha jate hein kisi ko nahi pata.Aj log apne gharo se nikaltay howe darte hein.karachi roshniyo k shehar se andhero mai dhoob raha hai.Barhte hui dehshat gardi se rozana boht se ghar barbad ho rahe hein.Koi apna beta khota hai, koi apna bap, koi bhai.. or ye hote bhe wo log hein jo ghar k sarbarah hote hein, kitne he ghareeb gharane ujar gaye boht to aese log mare gye jo ghar k wahid kafeel hote hein or jb un k ghar ka koi akela kamane wala chala jae to unke dukho ka andaza hum ya humare hukmaran lagane se rahe. 


Ab tak in dehshat gardo ko rokne k liye koi bara qadam nai uthaya gaya ab bhe dehshat gard sehar mai azad ghom rahe hein or begunah logo ko mar rahe hein or sath he police ahalkaro ko bhe nishana banaya ja raha hy.Rawan sal target killing ka nishana ban’nay wale police ahalkaro mai se ek SSP, 4 inspector, 15 sub inspector, 22 head constable or 68 constable hein.

Humare hukomat ko caheye k in dehshat gardo k khilaf sakht se sakht qariwae kare or aese sazaein de jaein k dobara kisi ko marne se pehle ye souchne par majboor hojae k agr pakre gaye to inka kya anjam hoga.Karachi sehar se ink khof ko khatam keya jae taaky kal ko koi beta apne bap ki, koi bap apne betay ki ya koi bhai apne bhai ki lash na utha raha ho.Karachi mai dehshat gardo, jaraim paisha afrad k khilaf operation ko ek sal mukam’mal to hogaya hy lakin ab tak hasil khuch nahi howa or abe tak target killing mai koi kami nahi aye hai.



4 comments:

  1. ek jan k nuksan se kitni janeen or safr krti hn or kia kia safr krti hn iska andaza lgana namumkin hy :/ :/

    ReplyDelete
  2. this write up is based on bitter truth ....

    ReplyDelete
  3. wahid kafeel kay chalay janay say aik khandan kitnay saal pichay chala jata hay..hum to is bat ka andaza bhi nahi laga sktay or jin logon ko wo bay asrah chor jata hay unhain hum loag jitay huway bhi maar detay hain..

    ReplyDelete
  4. everyday thousands of ppl targeted for killing :/ seriously no one thnk that they spoil unlimited houses on daily bases :( even no one can measure the tears comes out frm mother's eye when she received the news of her youngest son's death :(

    ReplyDelete