Truth is the basis of all Excellence ...

9 October 2014





MEDIA ANARCHY
Aj kal hamare media mai ek nai istilha “Anarchy” bare zoro shor se zir-e-istemal hai.bohat ziyada moqbooliyat hasil karti hui ye istilha na sirf mashoor o maqbool hai balke har khas o aam ke zir-e-behas or zir-e-ghor bhi hai.mutaliqa istilha aj kal talk shows or siyast dano samet akhbarat ki zinat bani hui hai.yhe lafaz talk shows mai bedarigh istemal hota hai har koi har jagah aj kal yai kehra hai k mulk mai bohat anarchy hai ya mulk mai siyasi anrchy ki fiza chai hui hai. Chahe hamare so called angrez siyasat daan iska matlab jane ya na jane wo anarchy ek naye angrezi lafaz ke tor pe jante hen or iska istemal kar ke khud ko zyada qabil or zuban shinas gardan rahe hen.abhi kuch din pehle ki hi baat hai k ek show mai may ek mashoor o maroof siyasi party se taluq rakhne walin khatoon ne bare maze se apni taqrir mai is lafaz ka istemal kia or us pe bat ki bs kuch lamhe bad hi anchor ne iska urdu matan “tawaif-ul-molooki” kaha toh bibi ghabra gain ke yhe kia hai or inhimak se sahafi ki shakal dekhne lagi wo sahafi sahib ne foran hi kehdiya anarchy wrna mai toh dargain thin ke mohtarma yhe pooch hi na bethen ke kon si tawaif nach rahi hai mulk mai.kher yhe to ek muzehaika khaiz bat thi magar ye haqiqtan ek almiya hai hum ne zaban se le ker mazhab tak har cheez mai media ko apne sar pe havi kya hua hai ya apna rehnuma samjh liya hai ke media hme jo btata hai or jo smjhata hai hm use hi sai smjhte hen wohi jante hen ya jana chate hen.yahan tak ke ek zaban ke mamle mai bhi  hum har chiz mai media ke mohtaj hain or is mai ek aam admi ke sath hamre moziz siyasat daan bhi pesh pesh rehte hen bina lafzon ke maiyene o mafhoom jane. Kher yeh ek purana almiya hai humara ke hm media k tawsut se ane wali har cheez ko na sirf sai smjhte hen balke us pe yaqin bhi karlete hen bina uske ane ka mtlb jane. Hum is istilha se hi misal le lete hen ek mamooli si istilah se key log iska istemal bina maiene o mafhoom jane hi karahe rahe hen our kiun kare hen kiun ke yeh media k tawasut se hum tak pohcha hai kher mai ne internate ke zariye is lafaz ke maiene to akhaz karliye magar jb mahoom ko samjhne ki bari aye to sub se zyada zinda javed missal mujhe watan-e-aziz ke media ki nazar aya.
Anarchy se murad “tawaif-ul-malooki” aur “laqanooniyat” hai lekin agar baligh nazri aur ghair janib daari ke sath is ka jaiza len toh mulk mai mojood is muntashir fiza ka zimedar media hi nazar ayega. Jo ke sub se ziyada laqanooniyat ka shikar hai. kiun ke mojooda dour ke media pe any wala har mawad chahe wo print media ke zariye aye ya electronic media ke zariye sirf aur sirf karobari,tafreehi mawad ke tor pe ata hai.wo misal hai na chori phr us pe se sina zori media puri tarha se iska istehsaal kar raha hai. Aj humara media har trahn ki anarchy ko bare maze se pesh kara hai tasadum aur inteshar ki soorat-e-haal mai jahan deeger anasir mulawis hain wain eham tarin wajah media bhi hai. Aj humare mashrey mai tasadum, mutabiqat, hasad, nafrat, tasub, la-qanooniyat samet inteshar aur fard ka inhirafi kirdar bhi milta hai jo ke bimar mashre ki pehchan hai aur in tamam mashrati bimaryion ki ek wajah media bhi hai jistrah media ne apni azadi ko be-baki ki janib mora hai aur sachai dekhane ke naam pe srif karobaar ka bazar garam kaya  hai aur awam “sumoom”, “bukmoom”, aur “umiyoom” bani har tamasha dekhe jari hai bina haqaiq jane.
Jo baat meri nazar mai ghor talab hai wo yhe hai ke humara media jo ek islami mulk aur mashre ki akasi kart hai aesa kese hua? itna be-baak kub hua kiya waja thi ke is media ne azadi ko be-baaki mai tabdil kardya akhir is ke peche zimedar koun hai? go ke in tamam sawalon ka jawab shyad tarikh mai ho…
Darasal Pakistan sun 1947 ko marooz-e-wajood mai aya aur ibtida se hi kai qism ki mushkilat ka shikar raha jis mai ek pareshani media ki kamzori bhi thi.hume milne wale ilaqe shru se hi gher taraqi yafta rahe angrez ise humesha se laqanooniyat ki zamin qarar dyete the lehaza unho ne kabi is traf koi khas twajo na di islye humare pas ayene wale teeno radio station na srf naqis itnezamat ka shikar the balke iblagh ke lye nakifi bhi they. Taham Pakistan ne guzartey waqat ke sath sath jadid technology ki dunya mai safar shuru kya aur aj mulk  zara-e-iblaagh ke taqriban tamam sahooliyat se arasta hai mugar teesri duniya ke har mulk ki tarah humara media bhi apne ibtida se le kar aj tuk hukumati dabao ka shikar hai. humara media apne ibtida se hi humesha hukumat-e-waqat ke dabao mai raha go ke Pakistan mai Marshall law ka toti humesha se sar char ke bolta raha fouji hukumat ke dour mai media qaid aur zaban bandi ki skhtiyon mai mubtila raha tou kabhi humari naam nihad jamhoori hukumaton ki jee hazoori mai laga raha wrna phr RPPO ke nizam ke hathe chara humre media ne na srif in tamam zulmao ko saha bulke sahafiyon pe bilazrorat tashud ko bhi bardashat kara raha magar kehte hen na mazloom ko agr dabao to wo baghi ban jata hai aur moqa milte hi baghwat kardyta hai afsos sad afsos ke humare media ka bhi yai haal hua humara media bhi us ghore ki manind hogya jo phele to kochwan ke chabuk ko bardshat karta raha lekin jaise hi kochwan ne lagam dheeli ki is ne sarkashi dikhate hue wo doar lagai ke kochwan ko girata hua us k hath se nikal gaya 2002 mai jub General Pervaiz Musharraf ne jub mulk mai chothe Marshell law ke dour mai jub media ko PEMRA ka tohfa diya toh is mulk ka media pheli bar azad hua niji channels aye internate aya radio ki tariqi hui go ke wo media ka sunheri dour raha media ne apne har shobey mai besh baha tariqi ki yahan tak ke siysat dano ki niji zindagi mai madakhalat se leker hukumat ka ehtesab samet har mamle mai bolne aur sachai dikhane k alambardar ban gaye shuruat mai media ne is azadi ko bohat hi masbut andaz mai istimal bhi kya aur sachai ke nam pey sach ko hi logo tak pohchaya. logo mai na srf eham mashrati amor pe shaoor ko ujagir kiya bulke siyasi sitaha pe bhi unhe bashaoor bnaya sai ghlt aur apna haq mangene ka saliqa sikhya raiye amma humwar ki magar kehte hen na ke hadon ko uboor karti azadi bebaki ki janib gamzan kardyti hai yai kuch humare media ke sath bhi hua aj humra media azad nai
balke bebak hai
Aj humara media har bat pe azadi ke sath balke kai martaba bebaki ke sath behas karaha hota hai chahe wo siyasi masla ho ya smaji aj humare media mai har chiz ek glamour hai sanjida mawad bhi ranginiyon ki nazir hogya hai aj khabron mai gano ka bajna “style” hai news castors ki urdu se zyada tawajo apne make-up aur hair style pe hoti aur natijatan “petroleum” ki masnooat ko “petervilum” ki masnooat paraha jata hai. Breaking news ke naam pe kisi khas hasti ka cheenk mar dyna hi kafi hai.phr ek sub se eham moarka tub sar hota hai jub har news channel is bat ko ticker mai chalade ke “yhe khbar sub se phele hum ne ap tak pohchai” ya “sub se phele khabar ap pohanchne mai ek bar phr humara channel agae nikal gaya” har khabar dosre se phele pesh karne ki koshish mai bhale hi ticker mai imle ki ghaltiyan hojayen koi masla nai.aney wali itlah sach hai ya nahi yhe tasdiq kiye bina hi chaldi jati hai kai dafa channels ko in sangin ghaltiyon ke lye bara-hirasat maufi bhi mangna parta hai aur kai dafa in ki in ghaflaton ki bina pe kai afrad gummrah bhi hote hen aur mutaliqa shakhs bhi shadeed mashrati or nafsiyati dabao ka shikar hojata hai us ke kirdar ko leke ek mautanaza bna dya jata hai magr humra media yhe bhool jata hai ke wo shakhs chahe kesa bhi ho kisi bhi mutanaza mai ghira hua ho wo hai toh insan hi uski bhi ek izat hai lekin humara media andho ki tarahn sirf apne business aur channel ki ahohrat barahne ke lye aesi ghair mayari harkate karte hen aur aj humare mulk mai aesi kai misalen hain jo media ki badolat mutanaza shakhsiyat bun chuke hen jinke naam pe bhi awam hans parti hai.phr humare programs ne to ajkal har had uboor ki hui hai news channel ke program bilkul khala ji ke larai wale ghar ka mahol pesh kare hote hain jub ke subha subha mehenge tareen libas mai malboos khawateen ek mukmal samne arish ke sath subha bakhair kehti hain aur saal mai kam az kam 6 mahine shadiyan karwane mai guzar dyti hain jin mai wahiyat raqas chal raha hota hai aur sari fazooliyat samet intehai ghair miyari aur ghair ikhlaqi harkaten hori hoti hain.
humare media ne humesha apni had se tajawuz ikhtiyar kya mazi mai iski kai misalen mojood hain pervaiz musharaf ne media ko jo azadi di thi wo sub se phele inhi ke galay pari aur media phr aik zabardast propaganda in khilaf samne aya.isi tarah media ke barhte hue qadamo ko koi na rok saka aur aj media pe aney wala har programme srf aur srf tafree ka saman pesh karah hota hai subha nach gane aur shadi ke morning shows shuru hoti hai aur raat mai siyast dano ke lahasil jhagron pe khtum hoti hai. yahan tuk k humare media ne tafree ko mazhab mai bhi shamil kardya aur har mazhabi tehwaar aur mahine ko apna business bna liya ek mashur anchor person ko lye ke aur do alim-e-din ko lye ke ek mazhabi show tayar karliya jata hai jis mai behooda harkat ke sath sath inamat ki barsat hoti hai aur awam nadidon aur intehai faqirana andaz ka mozahira karte hue inamat pe jhapatparti hai mazhbi programmo   mai kurta aur mobile ya lawn zyada nomayan hote hen. Humare talk shows kisi  laraka khandan ki aurton ke jhagre ka manzar pesh karte hain jis mai se kai dafa  laraiyan itni sangin hojati hain ke mehman shows ko beach mai chor k chale jate hain ya ek doosre ko maghloozat bakna shuru hojate hain. Aur sab se bara masla hota hai channel rating ka har koi ek doosre pe subqat lyna chahta hai. har programme mai kaha jata hai humare show ki maqbooliyat Pakistan bhar mai hogai jub ke kuch channel jo ke akhbarat bhi shaye karte hain wo to doosre channel ke muqbale mai apni ratings ka ishtehar adhe safhe pe shaye karte hain. Hal hi ki bat hai k ek mashoor tv channel ke senior anchor person pe jan leva humala hua aur tamam media ne usi waqat channel ko support bhi kya aur sahafi pe humle ke khilaf awaz bi buland ki magr jaise hi us tv channel ne watan-e-aziz ke hasas idare pe sangin ilzam tarashi ki toh sub awaze jo ab tak haq mai uth rahi thin wo khilaf hogain aur apne watan ke ek hasas idare ko tanqid ka nishana bnane pe us channel ko tamam channels ki janib se shaded tanqiid ka nishana bnaya gaya magar uske kuch arsey bad ye tanqid tanqid ke bajaye mutabiqat ban gai aur ek channel ne khul ke mazkoora channel ke khilaf propaganda shuru kardya aur baqaida ek rai amma awami paighamat ke zariye us channel ke kilaf shuru kardi aur baqaida fouj dari ehtjaj samne aya.mazkoora channel bhi is mai peeche na raha bulke us ne bhi barchar kar harif channel ka muqabla kiya aur us ke khilaf bharpur proganda kya . yhe hadsa taza hi tha ke mazkoora channel ke morning show mai ek mazhabi sitah pe nazaiba harkat hui jisko issue bna ke harif channel ne mazid propangda kya jab ke mazkoora channel ne bhi apne khabarname mai harif channel ke morning show ki mazhibi sangin ghalti ki video clip chala chala ke badla pura kya dono channels ke malikan aur anchor ek dusre ko khule aam munazron ki dawat dyte rahe magr natija sifar nikla. Ab hum mulk ki mojooda syasi suart-e-haal se hi andaza laga lyte hain muluk kis qadar nuzuk dour se guzar raha hai inteshar awami baghawat siyasi ikhtilafat ayin shikni samet har tarhana ke laqanooniyat ka shikar hai.14 augest se shru hone wala inqilabi aur azadi march aur dharna mulk mai ek inteshar ki fiza paida kiye hue go ke yhe siyasi noiyat ka eham tarin masla hai aur hukumat beshak bohat hi ajib taraz ke rad-e-amal ka muzahira kar rahi hai jub ke awam ki ek bari tadad ashish-e-zindagi chor ke sarkon pe khari hai aur hukumat ki hat dharmi bhi hum sub ke samne hai magar is moqe pe bhi humare media ka rad-e-amal sb se zyada qabil-e-deedh hai.humara sach ka alambardar media is nazuk halat ko bhi tafreehi programme ki trahan pesh kar raha hai.is dharne ke shru hone se phele hi media ne iski tashir karna shuru kardi phr dharna shuru hua tou uski live covrage ke lye shyd hi koi channel ho jo peeche raha ho dharne mai kon kon shamil hora hai kya kara hai saari baten manzar-e-aam pe ayien jis mai se tafreehi mawad ki ek kaseer miqdar mojood thi.jaise ke dharne wale afrad ka interview kis kis elaqe se are hain kahan kahan se arehe hain sath hi ek baat jo sub se zyada tawajo ka bais thi wo thi “youth” jaise ke hum sb jante hain ke pti ke navey fisad hami nowajanan pr mushtamil hain media ne un nojawano ke jazbe ki aar mai larkiyon ka make-up aur larkon ke fashion ko zyada numaya kiya.larkiyon ki tayari unki zebaish pe media ka ziyada tawajo rahi is ke elwa dharne ke intezamat ke sath sath dharne ki tafrihat bhi media ki nazron mai rahin.police walon se interview, awam se interview bachon samet un logo ka bhi interview hua jo thele laga ke un jagahon pe mukhtalif saman bech rahe hain party ke jhande beach rahe hain stickers aur khane peene ki ashiya beach rahe hain sub hi ne media ko interview dya.dharne mai bajne wale gaaney aur dj butt ko bhi media ne bohat khas ehmiyat di.aur media ke tofail se hume “butt” ka ek maqbool silsila-e-nasab milgaya.dharne mai nachne wale afrad ,“selfie”lyne wale afrad samet Imran khan ka humshakal bhi ek khas ehmiyat ikhtiyar kar gaya aur uska bhi interview liya gaya.iske bad jo cheez samne ayei wo dharne ki tafrihat thin jismai nach ganna ke elwa kuch intehai darje ki ghair ikhlaqi harkate bhi shamil thin dharne mai khan sahib ke lye kis kis ne shadi ka paigham bheja wo tak manzar-e-aam pe aya. Adakaron ki jalse mai aamad o shirkat media ki markaz-e-nigah rahi kon adakar ya adakara arehe hain kya kherahe hain kya kar rahe hain yhe sub social media ki to zinat ban gaya adakaron ki beshumar tasviren dharne ke programme ka hissa bani.
Is pure zamne mai sub eham aur mazedar kirdar humare news channels ke talk shows aur news reports ne ada kya. Talk shows jo ke khabron ki duniya mai ek eham muqam ke hamil hain unka kirdar bilashuba dekhne walon ke lye ek bohat hi eham kirdar hota hai talk show ka maizban awam mai ek rai aama bhi humwar kara raha hota hai wo awam ko tasvir ke mukhtalif rango se hum ahang kara raha hota hai aur ek ghair janib dar shakisiyat ka malik hota hai magar humere media mai is auhade pe bohat hi ziyada aflatoon log faiz hain.jinki sab se bari khusoosiyat “janibdari” hai.in tamam afrad ke nazdik inki zaati pasandidgi ziyada ehamiyat ki hamil hai  yhe tamam kisi na kisi ki janibadari aur zaati pasandidgi ki bina pe cheezen awam ke samne pesh karte hain.jaise ke hm mojooda soorat-e-haal se hi andaza laga lyte hain kea humare do mashoor channelon ke darmiyan ek sard jang chiri hui hai aur is mai indono channelon ke anchoron ka bara eham kirdar hai jin mai ek sahib to bare hi zor-o-shor se sari duniya ke samne mukhalif channel aur harif anchor pe kichar uchalte hain aur tahal unhon ne janib dari ki inteha karte hue elan kardya ke wo hukumat ke baghi hain aur ek khas rehnuma ke manzoor-e-nazar hain. sahafat ke usoolon ko pas-e-parda kar ke bari hi besharmi ke sath ek syasi jamat ka hami hone ka elan kardya goh ke khud apne sahafati kirdar ko mushkook bnadiya siyasi rehnuma ke brabar mai kahre hoke nare baziyan kar ke janab ne jo dhajiyan sahafti qawanin ki urain hain wo sb ke samne hain gahir miyari zaban ka istemal aur sub barh ke apne live show mai beth ke apne mobile pe aney wale dhamki amez paigham ko onair karna aur doosre media house pe beja tanqid ilzamat  laga ke apne hi peshe ki sakh ko mutasir kardya halanke bahaisiyate sahafi un pe bohat si zimedariyan ayed hoti hain sub se bari zimedari hai ghair janibdari aur unho ne sb se zyada dhajiyan isi ki urai badle mai mukhalif channel aur anchor ne bhi kasar na chori anchor sahib unke khilaf coloms likhte hain is ke elawa channel pe bhi un pe tanqid ki jati hai. aur dosri taraf humare tamam talk show bajaye is sangin masle ka hal nikalne aur mofahamt ki rah nikalne k bajae harif siyasat dano ko apne show mai madoo kar ke laraiyan karwa rahen hain aur apne show ki ratings barhane ke liye jitni laraiyan aur mirch masale k sath program ko pesh kar skte hain wo karne ko huma waqat tyar hain bina sahafati qawnin ki parwah kye.
..Aj khud humara media aur media ke rooh rawan hazrat aur moziz sahafi khud hi safahati zabt-e-ikhlaq ki khilaf warzi kar rahe hain jo ke Pakistani hukumat ki janib se sarkari  noiyat ka qanoon hai aur Pakistani media pe lago hota hai magar humara naam nihad media jo pure mulk mai laqanooniyat hone ka dhindora pit raha hai khud sangin  qanoon ki khulam khula khilaf    warzi karaha hai.ek news channel lagao toh lagta hai ke hukumat ka media cell hai srf hukumat ki mazloomiyat hai jub ke dusra lagao to lagta hai ke dumiya ke zalim o jabir hakim bs yaih hain aur awam sb kuch bardasht kari hai koi bhi insaf se tasvir ke dono rukh samne pesh nai kara raha dono taraf janibdari ka zor zyada hai.humre media ke  talk show khabron ka mayar aur  sahafi hazarat karname kya yhe  sab khuli laqnooniyat nai. kya yhe qawanin ki khilaf warzi nai.is lehaz se tou anarchy ka lafaz agr media apne lye khud istmal kare tou zyada behtar hoga.


Faisala humara hai ke sub zyada anarchy (laqanooniyat) ka shikar koun sa idara hai ya mulk mai kon si anarchy sb se zyada hai. aur mere nazdik to mulk mai sb se zyada urooj pe media anarchy hai….

4 comments:

  1. Media persons tb tk khul k kam nai karsakte jb tk mulk me qanoon strong nai hojata q k unhne bhi isi muashray me Rehna hay,,,,

    ReplyDelete
  2. they show wht ppl want,its simpl v hv to strong

    ReplyDelete
  3. we have to strong no matter,what the situation is

    ReplyDelete