Truth is the basis of all Excellence ...

2 October 2014

ISHTIHAAR-KAARI KAY MANFI ASRAAT....!!

Jis tarah har cheez kay kuch masbat or kuch manfi asrat hotay hain isi tarah ishtihaar-kaari kay bhi kuch masbat or kuch manfi asrat hain par aj hum bat karen gen sirf is kay manfi asrat ki kay ye kis tarah muashray may bigaar ka bais bantay ja rahay hain..

Ishtiharat nay humay ahista ahista aisay complex kay dadal may phasa diya hay jis say nikalna ab hamaray liye mushkil hogya hay..In may aisi cheezain dikhai jati hain jo beshtar logon ki puhanch se door hoti hain..or in ko hasil karne ki doar may loag sahi or galat ka farq bhul jatay hain..In may dikhaya jata hay kay muashray may sawlay logon ko koi pasand nahi karta..
Aik middle class bachay ko itna mehanga junk food dikhaya jata hay jisko hasil karnay ki zidd may us kay waldain ko azziyat se guzarna parta hay,itni slim models ko dikhaya jata hay jisay dekh kar aam larki khud ko kamtar mehsoos karay..ya khud ko us ki tarah bananay ki doar may apni sehat kharab karlay..Aur yhi nahi ab to ishtihara-at apni muashrati ikhlaqiyat ko bhi bhultay ja rahay hain or aisay ishtihaar-at dikhatay hain jo ksi ko bhi nagawar guzar saktay hain.in ishtiharaat ki waja say ab gharelu jhagray bhi barhtay dikhai detay hain...ishtiharat ko dekh kar loag apni istita-at or istimaal se ziada chezain khareed latay hain or phir ghar may tangi rehti hay..yhi nahi ishtiharaat bachon kay kachay zehnon par bhi buhat asar andaaz hotay hain


Ishtihar-at ka maqsad hi sarifeen ki tawaja apni taraf markooz karna hay par ye hamara kaam hay kay sahi or galat kay farq ko samjhen or apna or media ka remote apnay hath may hi rakhen..kisi danishmand nay kiya khoob kaha hay kay



                               ZARURIYAT TO FAQEER KI BHI PURI HOJATI HAIN
                                                                    PAR
                               KHWAHISHAT TO BADSHAH KI BHI PURI NAHI HOTIN..!

2 comments:

  1. 50% agree and 50% not..but ur focus is right ..

    ReplyDelete
  2. yup rit,aj kl k competitn me hm ye baten dehan me nhi rkhte hn

    ReplyDelete