YE BHI INSAAN HEIN..
Child
labour taleem se mehroom bacho ki mulazmat hai wo ek chote se qeemat k liye
taqreeban sara din kam kartay hein mehnat mazdori karte hein. Logo ki dant or
galiyan suntay hein. Masharay mai in ki koi izzat nahi hote, na koi in par reham
khata hai. In bacho se sakht mehnat walay kam karaye jate hein. In bacho ko
alag alag jagahoo par bheja jata hai taake ye paisay kama k laa sakein. Is umer
mai jab in bacho k hatho mai kitaben hone caheye wo apni rooz mar’raah ki
zaroriyat ko pora karnay k liye paisay kamna shuru kar detay hein. Or ye zehni,
jismani,saamaji or ikhlaqi tor par boht khtarnak or nuqsan dah hai.
In bacho se kam karwae jatay hein sakht dhoop ho ya shaded sardi ye mehnat mazdori mai lage rehtay hein or sakht mehnat k bad inhein milatay hein ziyada se ziyada 10 rupay, ya 20 rupay… aj k waqat mai kya itne paiso ki qeemat hai koi? Kya in paiso se apni or apne ghar ki zaroriyat pori ki ja sakte hein? Shayad nahi… boht se aese girooh bhi mojood hein jo in ko bheek mangne par majboor kartay hein or in bacho k jismo ko nuqsan pouhanchaya jata hai taake log in par reham kha kar paisay de saken. In bacho ko majboor keya jata hai kaam karne par zabardasti kaam karwate hein or agr in se na ho pae to in bacho ko tashadud ka nishana banatay hein.


Ye
sab masaail thek ho bhi saktay hein agr is par tawajah de jae to.. Hum sab
jantay hein k taleem hamare zindage mai kitne ehmiyat rakhte hai taleem k
zariye hum boht khuch izzat se kama sakte hein, lakin jin k pas apnay bacho ko
perhane k liye paisay nahi hein wo bacho ko kam par laga dete hein or ye bachay
ghalat logo k hath lag jatay hein jis ki wajah se in bacho ki zindage kharab ho
jate hai. Hamre mulk mai ghurbat ki wajah se boht se bachay taleem hasil karne
se mehroom hein. Jab tak hamare mulk mai ghareeb bacho k liye taleem k darwazay
nahi khulein gay tab tak ye sab chalta rahe ga. Jab tak in bacho ko in ki
ghareebi or in kay halath ki wajah se
bura samjhe gay tab tak khuch thek nahi ho sakta. Hamare tarah ye bhi insan hein lakin hum
inhein bayjaan chez ki tarah istamal kartay rahtay hein apne kaam in par
zabardasti thoop dete hein or ye paiso k liye khuch bhi karne k liye taiyar ho jatay
hein or kar bhi kya saktay hein ye chote se umer mai, in bacho ko to sirf paiso
se matlab hota hai. In bacho ko bhi bhook or piyas lagte hoge kyu k ye hamare
tarah insaan he hein. Child labour ek laanat hai or hame is se chukara hasil
karne k liye ziyada se ziyada koshish karne caheye hai.
No comments:
Post a Comment