23 November 2014
"ISIS KA MUKHTASIR TARUUF"
Dolat e Islamia fi iraq-o-shaam(ISIS) aik jahadi groh ka naam hay jo Iraq or Shaam may sargaram hay.Ye tanzeem April2013 may Iraq may Alqaida say wajud may ai.Alqaida se alehda honay kay baad ye aik bara jahadi group ban kar samnay aya hay jo Shaam may sarkari faujon kay khilaaf barsar paikar hay aur Iraq may bhi sarkari faujon kay muqablay may paish qadmi karta ja raha hay.
Ayman al-Zawahiri nay ISIS say kaha tha kay wo Shaam ko chor kar Iraq tak apni karwaiyan mehdood rakhen lekin baghdadi or us kay jangjuwon nay Alqaida kay sadar ki nafarmani kartay huwe Shaam may bhi karwaiyan jari rakhin.Shaam may rafta rafta dono groupon kay darmian ikhtilafaat may izafa hota chala gaya or baaghi grohon kay darmiyan bahmi laraiyan bhi hoti rahin.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment