Truth is the basis of all Excellence ...

11 September 2014

IQDAR SY DOORI AUR MUASHRAY MAIN JARAIM KA BARAHTA HUWA RUJHAN....

Ye bat to hum sab hi jantay hain kay hamaray mashray may aye din jaraim barhtay chalay ja rahay hain..or isi kay bais hum apni mashrati or islami ikhlaqiyat se door jarhay hain..zahir hay jis mashray may jitnay ziada jaraim aam hongen..us mashray say bharosa aitamad or sukun khatam hota chala jae gah..


Pehlay jaraim kum thay to log ajnabi or gair logon par bharosa bhi karliya kartay thay..kisi bhi rah chaltay se baat kartay nahi dartay thay..salam dua har milnay or na milne walay se rakhtay thay..agar koi raah geer ksi kaam se ghar bhi ajata tha to usay ghar kay andar latay nahi dartay thay..samaji daira waseeh tha par jese jese jaraim barhtay gaye log ajnabi dar ajnabi hotay chalay gaye..ab agar darwazay par aa kar koi aurat namaz parhnay ki garz se bhi ghar kay andar anay ki ijazat mangay to koi na day gah..raah may khara koi shakhs sawari se lift mangay to koi na day gah..sarak par khara koi shakhs baat karna chahay to wo bhi nagawar guzray gah..yahan tak kay agar koi shakhs kisi ajnabi se salam kar bethay to wo ajnabi pareshan nazar ata hay...may khud un logo may se hun jo sarak par ksi gari ko lut-tay dekhtay hen to tezi se apni gari nikaaal lete hen..agar kisi ka accident huwa dekhtay hain to wahan se apni jaan bacha kar bhagtay hen..
kyun kay agar us ko hospital lay gaye to khud police kay chakar kaat-tay kaat-tay thak jain gen..hum khud har tarah ka jurm ankhon se dekh kar bhi ankhain band karlete hain..lekin sochnay ki baat ye hay kay is sab may galti kis ki hay?un logo ki jo aitbaar nahi kartay?ya un logo ki jin ki waja se mashray say aitbar uth gaya hay..mashra hmesha logon kay bahmi talluq or aitbaar se mil kar banta hay..har shakhs dusray pay inhisaar karta hay..par agar aitbaar uth jaye to mashra tabahi kay dahanay par akhara hota hay or badqismati say yahi hmaray mashray kay sath bhi huwa..ab na aurat ko aurat par bharosa hay or na mard ko mard par..lekin sawal ye hay kay ab mashray may aitbaar kese bahaal karen?


Zahir hay jis kay farog k bais ye mashra be-aitbaar huwa hay usi ko control karnay ki zarurat hay..agar hmaray andar se chori chakari ka dar khatam hojaye
.
..aye din ki wardatain mashray se uth jain to loag phir se aik dusray par bharosa karna shuru karden gen..salam ka jawab bhi khushi se dain gen..rawabit barhanay se bhi nahi daren gen..or isi tarah mushkil may paray raah geeron ki madad bhi karen gen..ye sab kuch to humay hmara mazhab islam bhi batata hay..par afsos kay ger musalmano nay islam ki sari achaian apnay mashray may bhar lin or hum nay unki sari buraian apnay mashray may jazb karlin..ikhlaqi,samaji or islami tehzeeb ka daaromadar aitbaar par hay or ye aitbaar jaraim ki kami se hi bahaal hogah..

5 comments:

  1. background , layout, tickers and @tehreem,s post overall r nice
    u can take gadget of poll on any hot and current issue :-)

    ReplyDelete
  2. @tehreem its gud but ur post tittle is not very much clear u can change it for making more comprehensive " IQDAR SY DOORI AUR MUASHRAY MAIN JARAIM KA BARAHTA HOWA RUJHAN "
    one more little mistake you have pasted Ist pic which is taken from english society ..take another pic of PAK SOCIETY bcz ur post is showing pakistani scenario ... :-)

    ReplyDelete
  3. first we need to stop crimes and promote islam everywhere in a perfect way ,otherwise no one can save our PAK society ..

    ReplyDelete